SEO Kya Hai? (Search Engine Optimization)
SEO ka matlab hai Search Engine Optimization. Ye ek digital technique hai jisse hum apni website ya blog ko Google jaise search engine mein top par laa sakte hain.
Beginner-friendly SEO techniques, keyword strategy, aur ranking improve karne ke tarike simple language mein samjhe.
Yeh guide blog, business aur students sab ke liye useful hai.
Agar aapki site Google ke first page pe aati hai, to zyada log aapki site dekhenge aur aapka traffic, business aur trust sab grow karega, agar ye sab ho raha ha to aapko pta hai SEO kya hai.
SEO mainly 2 type ka hota hai:
On-Page SEO
Off-Page SEO
On-Page SEO Kya Hota Hai?
On-Page SEO kya hai wo cheezein hoti hain jo aap apni website ke andar karte ho jisse Google ko samajh aaye ki aapka content kis topic par hai.
On-Page SEO ke Important Elements:
- Title Tag – Page ka naam jisme main keyword ho
- Meta Description – Short summary jo Google pe dikhe
- SEO-friendly URL – Short aur keyword-based URL
- Headings (H1, H2, H3) – Content ko structure dene ke liye
- Keyword Placement – Keyword ka sahi use bina spam kiye
- Image Alt Text – Image ke liye SEO text
- Internal Linking – Apni site ke doosre pages se linking
- Mobile-Friendly Design – Har device par accha dikhe
- Fast Loading Speed – Page jaldi open ho
Example: Agar aapka keyword hai “Digital Marketing Course”, to ye title, URL, aur first 100 words mein hona chahiye.
🔗 Off-Page SEO Kya Hota Hai?
Off-Page SEO un activities ka group hai jo aap website ke bahar karte ho lekin unka effect aapki site ki ranking par padta hai.
Off-Page SEO ke Key Factors:
- Backlinks – Doosri trusted sites se aapke blog ko link
- Social Sharing – Facebook, Twitter, WhatsApp par content share
- Guest Posting – Doosre blogs par article likh kar backlink lena
- Forum Participation – Quora, Reddit jaise forums pe helpful reply
- Influencer Collaboration – Apne niche ke experts se promote karwana
Google backlinks ko “votes of trust” ke jaisa maanta hai.
On-Page SEO vs Off-Page SEO
Feature | On-Page SEO | Off-Page SEO |
---|---|---|
Location | Website ke andar | Website ke bahar |
Control | Fully aapke control mein | External factors par depend karta |
Focus | Content, Structure, Keywords | Trust, Authority, Backlinks |
SEO Kyun Zaroori Hai?
- Google pe top par dikhne ke liye
- Free aur organic traffic paane ke liye
- Business aur brand banane ke liye
- Long-term growth ke liye
Aaj kal ke digital duniya mein bina SEO ke rank karna mushkil hai, chahe aap YouTube chala rahe ho, blog likh rahe ho ya ecommerce store run kar rahe ho.
Conclusion
Ab aapko samajh aagaya hoga ki SEO kya hota hai, aur kaise On-Page aur Off-Page SEO dono milkar aapki site ko Google mein rank karwate hain.
Agar aap beginner hain aur digital duniya mein step lena chahte hain to ye blog aapke liye perfect guide hai.
Aur aise hi SEO, blogging aur online earning se judi tips ke liye visit karein: https://superdigitalmadam.in